Monday, March 1, 2010

GHAZAL

Dosti ka haq safar me door tak rahta nahin,
Gar tumhara dard mere zakhm ka hissa nahin.
Kis tarah bekhauf chhaya hai andhere ka nizaam,
Jaise barson se yahan suraj koi nikla nahin.
Jo mujhe haasil na tha wo kho gaya kaise kahoon,
Zustjoo uski hai jiska aksh tak dekha nahi .
Khel bachchon ka nahin hai pyar ka izhar bhi,
Krishna to tum bhi nahin ho wo agar Radha nahin.
Saath mere jo khada tha aaine ke roo b roo,
Ek arsa ho gaya ab mujhme wo zinda nahin.
Ek NAZAR ka naam sunkar aap kaise aa gaye,
Kah diya wo shakhsh kab se hi yahan rahta nahin.
-NAZAR DWIVEDI